Teachers are like guiding stars for their students. Share Shayari on teachers by Allama Iqbal in Urdu on Teachers Day 2023. Poetry on Ustad by famous poet Allama Iqbal in Urdu for Teachers Day.
Allama Iqbal Shayari on Teachers in Urdu
Thay Who Bhi Din Keh Khidmat-e-Ustad Kay Awaz
Dil Chahata Tha Keh Hadiya-e-Dil Paish Kijea
Teray Ilam-o-Mohabbat Ki Nahi Inteha Koe
Nahi Hai Tuj Say Bhar Kar Saz-e-Fitrat Main Nawa Koe
Nahi Hai Na-Umeed Apnay Kasht-e-Veeran Say
Zara Num Ho Tou Yeah Matti Boht Zarkhez Hai Saqi
Poetry on Ustad in Urdu
Rehbar Bhi Yeah Hamdam Bhi Gham Khawar Hamaray
Ustad Yeah Qoumon Kay Hain Maimar Hamaray
Yeah Jo Hamari Dars Gahon Main Ustad Hotay Hain
Haqiqat Main Yahi Qoum Ki Bunyad Hotay Hain
Sunain Rodad Jab Bhi Kisi Ki Kamyabi Ki
Har Ik Rodad Main Yeah Markaz-e-Rodad Hotay Hain
Hamari DarsGah Main Jou Yeah Ustad Hain
Haqiqar Main Yahi Qoum Ki Bunyad Hain
Ustad Hon Mujhay Iss Par Malal Thori Hai
Mulk Ka Mustaqbil Sanwarna Asan Thori Hai
Bus Ustad Hi Fikarman Hai Sab Kay Urooj Ke Lea
Yahan Kisi Ko Kisi Ka Khayal Thori Hai
Jin Kay Kirdar Say Atti Ho Sadaqat Ki Mehak
Inki Tadrees Say Pathar Bhi Pigal Saktay Hain
Read More: Happy Teachers Day Wishes in Urdu